Saturday, July 23, 2016

World’s Youngest CEO Suhas Gopinath ki Success Story

Success Story of Indian Entrepreneur

Hi Friends, aaj main aapke sath ek bahut hi inspirational success story share kar rha hu joki ek indian ki hai. ye story hai world ke World’s Youngest CEO Suhas Gopinath ki..  ji haan Suhas gopinath joki banglore se hai unhone kewal 14 varsh ki aayu me apni khud ki company bnayi- Global inc. Aaj ye ek muti- million dollar company hai,


Suhas ne apni company ek chote se cyber- cafe me baithkar bnayi thi aur us time unhen khud nahi pta tha ki ve world ke Youngest CEO ban gaye hai. kya aapko aschary hua? to fir aaiye jante hai unki puri khaani:

Suhas ka janam banglore me 4 november 1986 ko ek middle class family me hua tha unke pita indian army me ek scientist.
Bachpan me inka interest computer aadi me nahi tha balki inka interest to veterinary science me tha. Lekin jab ye apne doston ko computers aadi ke baare me sunte the to inka bhi computers me interest banna shuru hua.
ye middle class family se the to inki family computer afford nahi kar sakti thi, us time unhen 15 rupye har ek mahine pocket money ke rup me milte the. Ve internet cafe par jakar internet surf karte the lekin 15 rupye me ve roj internet surf nahi kar sakte the isliye unhone cafe ke mailk ke sath ek deal ki ki main apne school se aane ke baad 1 se 4 baje tak aapke cafe ko kholunga aur aapke customers ka dhyan rakhunga kyonki veh cafe 1-4 baje tak band rehta tha. iske badle me cafe ka malik use free me internet surf karne dega.
Cafe ke mailk ne uski yeh baat swikar kar lia. ab Suhas ki internet aur computers me ruchi kafi badh gayi aur unhone dhire dhire websites bnanishuru ki. unhone apne aap ko freelancing websites par ek web-developer ke rup me register kar liya. unhone apni pehli website free me bnayi kyonki unke pass apna refrence dikhane ke liye kuch nahi tha. fir unhone ek aur client ke liye website bnayi jisse inhen $100 ki kmai hui.
Suhas ke pass koi bank account nahi tha isliye unhone iske baare me apne pita ko btaya. unke pita ne to unka virodh kiya lekin unke bhai ne unhe protsahit kiya. iske baad Suhas ke pass website bnane ke liye kai offers aane lage. Tab unhone apni khud ki ek website bnayi coolhindustan.com ke naam se.
Websites bnane se Suhas ke pass itne paise ikatthe ho gaye the ki ab ve apna khud ka computer kharid sakte the. thode hi din me unhone ek computer kharid liya. jab Suhas 14 saal ke the to US ki ek company ne Suhas ko part time job ka offer diya aur ve Suhas ki eduacation bhi sponsar karne ke liye taiyaar the. lekin Suhas ne unka offer thukra diya.

Company Kaise Banai

jab Suhas ne microsoft company ke baare me padha to unhone apni khud ki ek company start karne ke baare me socha. jab unki 9th class ki chuttiyan khatam hui to unhone apni company Global inc. ki shuruaat ki, unhone apni company ko US me registered kraya kyonki india me 18 saal se kam umar ke log company nahi register kar sakte. unhone apne ek amiriki dost ko apni company ka board member bna diya.
Ve apni company ko lekar bahut hi jyada excited the, aur ve apni company ko microsoft jitni badi bnane ke sapne dekhne lage. Pehle hi saal me unki company ka turn- over 1 lakh ho gya.
Is karan se ve apne pre-board exams me mathematics me fail ho gaye. Isliye unki maa ne unse kasam li ki veh ab padhai par pura dhyan dega, isliye unhone 4 mahine tak apni company par koi kaam nahi kiya aur unhone apne exams first class me pass ki.
ve apni company ko other countries tak bhi bdhaana chahte the, unka apni company ko europe me focus karne ke baare me socha. Inhone apna sabse pehle office spain me bnaya aur iske baad italy me. tab tak inki company kafi famous ho chuki thi. Germany ke ek school ne ihne apne students ko enterprenuership par speech dene ke liye invite kiya.
apni 12 class pass karke inhone engineering college me admission le liya. 18 saal ka hone par inhone apni company ko india me register kar liya aur apna office us cafe ke pass hi khola.

World’s Youngest CEO ke Sath Ghati Ek Ghatna

ek baar banglore ke indian institute of science me desh ke sabhi CEO ko bulaya gya tha isliye Suhas bhi vha par gaye aur jab ve ander jane lage to gate par khade security guards ne unhe pakad liya aur kha ki ‘tum bacche ho, bade logo ke karykaram me khaa ja rahe ho’. Fir Suhas ne aayojakon ko phone lgaya to aayojak bhage bhage aaye aur Suhas ko aadarpurvak ander le gaye.
World’s Youngest CEO Suhas Gopinath ke kuch Photo
Suhas Gopinath with mark zuckerberg

Suhas Gopinath with Narendra Modi

 Suhas Gopinath with Dr. A.P.J. Abdul Kalam


Suhas Gopinath with Bill Gates

Achievement of Suhas Gopinath

World ke youngest CEO 2005 me world bank ke board member bnaye gaye 2007 me unhen ‘European Parliament and International Association for Human Values’ ne young achiever award se samannit kiya.World economic forum ke abhi tak ke sabse young member 2008- 09 ke liye unhen World Economic Forum ne ‘Young Global Leader’ ghosit kiya.Alibaba ke founder Jack Ma ne Suhas ke sath start up ke liye partnership ki hai.
To doston aapne dekha ki  kaise ek middle class family ka ek baccha apni mehnat ke bal par duniya ka sabse youngest CEO ban gya. agar aap bhi isi prkar se apne interest ke kaam me mehnet karen to yakinan hi aap success prapt karenge. Suhas ne ye sabit kar diya ki agar aapme apne kaam ke prti lagan hai to success prapt karne ke liye umar koi maayne nahi rakhti..
agar aapko ye post acchi lagi hai to please ise social media par share kare. Aisi hi aur bhi posts ke updates paane ke liye hamei Facebook par follow karein

No comments:

Post a Comment